aajkal khet sabjiyon se sajji hai
kahin ptta gobhi lgii hai
to kahin phool gobhi khili hai
ye dharti ka vardan hai
jo ham sabko milii hai
jakar dekho apne rasoyi mein
sabji banke kaise khili hai
aajkal khet sabjiyon se sajji hai
dekho wo matar
kar rahi hai patar-patar
arre wo dekh sag
khane ke liye pet mein lag rha hai aag
zra udhar dekh aur dhayan se sunn
sarso ke pile phoolon ka rag
aajkal khet sabjiyon se sajji hai
dekho wo dharati se dant dikhata muli
esko to dharati ma bhi na bhuli
arre muli ke bagal mein bhaiya allu
ham jante hai aap kitne hain chalu
dekho rang-biranga baingan
koi dikhta hai jaise bomb
to koi ho jaise gun
chokha,sabji,bhujiyon
bna jo ho tumhara man
aajkal khet sabjiyon se saji hai