Friday, July 25, 2014

Bhesh Badal Badalkar

ati hai hamari pyari dharti Ma
bhesh badal badalkar
kabhi kheton mein ghani hariyali
to kabhi phoolon  ki  lali  bankar


ati hai hamari pyari dharti Ma
bhesh badal badalkar
kabhi genhun ki sunhari pili wali
kabhi pyaj ki hari kayali bankar


ati hai hamari pyari dharti Ma
bhesh badal badalkar
phalon se laddi dali bankar
jise khate ho thali bharkar


ati hai hamari pyari dharti Ma
bhesh badal badalkar
kabhi hawaon ke sath chalkar
to kabhi nadi ke jal ke sath bahkar
aur chali jati hampe jivan ka amrit malkar