Saturday, June 13, 2015

Pedon Ke Sahare

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
iske daliyon pe pakshi basta     hai
aur jadon pe chinti chalta rahta hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
jab garmi mein dhoop barast    hai
to ye patiyon se fankha jhalta  hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
sab isko yaad bahut yad karte hain
jab dharti pe baris ki kami khalta hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
yahin to hai jo badal ko bulata hai
jab garmi se sari duniya   jalta hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
ham pardusit vayu utapann karte hain
ye ise apne naste ke liye niglta hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
hamari sansen isi ke karan chalta hai
yahin se to pranvayu nikalta    hai

pedon  ke sahare duniya palta hai
ye har saal   bari - bari se falta hai
ise lagane wale budhe ho jate hain
par iski jawani kabhi nhi dhalta hai

bahut varnan kar liya mitron
--Ab SAN Van-upvan ki aor chalta hai--