kudate kadamo se chale ja rhe hain
kabhi kisi ki dosti,kabhi kisi ki mohbt
apne sharir par malle ja rhe hain
hamesha to khush nhi rah sakte
isiliye kuchh achha hone wala hai kahkar
khud ko chhale ja rhe hai
kudate kadmo se chale ja rhe hain
bahti hawaon ke sath vahe ja rhe hain
chidiyon ki avaj sunate huye
phoolon ko namaste kahe ja rhe hain
sadgi mein kho kar
udasi ko khud se dur kare ja rhe hain
apni ankhon se parkirti ko padhe ja rhe hain
aur apni ankh rangon se bhare ja rhe hain
kuchh yad bnakar apne sath liye ja rhe hain
aur apni padchinh chhode ja rhe hain