Thursday, May 28, 2015

Fir Pathshala

man karta hai fir bachha ban jaunn
man karta hai fir jaunn  pathshaala
apne  hanth  mein lekar gori chauk
fir se rang dun ush "shayam pat ko"
jo dikh rha hai  bhadda  aur    kala

man karta hai fir bachha ban jaunn
man karta hai fir jaunn  pathshaala
fir se bari-bari se sab  guruji ayen
fir se  khule  wo  jang lga hua tala

man karta hai fir bachha ban jaunn
man karta hai fir jaunn  pathshaala
fir sarswati Ma ki puja vandna karun
fir banaun unke liye phoolon ki mala

man karta hai fir bachha ban jaunn
man karta hai fir jaunn  pathshaala
par ab ye sab shambhav nhi hai
kyonki hame waqt ne bada bna dala