hawaon mein romanch ab teji se udane lgi hai
aur mausham mein tazgi samayi hai
dekho aam ke pedon pe manjar fir se ayi hai
dhandhak mein ho rhi hai lgataar kami
aur suraj ne pachhuaa pawan ki kan-kani bhagayi hai
dekho koyal fir se halke halke gayi hai
kisan ne kisi khet mein genhun
to kisi khet mein gajar lagayi hai
dekho fasal fir se lahlahayi hai
gulab ki manmohak ,beskimati mehak
aur gende ki sejj DHARTI MA ne sajayi hai
dekho bhanti-bhanti ke phool fir se khil ayi hai
kahin bhawre ki prathkaalin mitha sa gunjaar
aur kahin titliyon ne apne pankhon pe rang lagayi hai
dekho phoolon ka rash lene madhumakhi rani fir se ayi hai
Fir se basant ayi hai ..............
Word Meaning :
kan-kani =jayada thandh