wo bharat mata ka spoot,wo fawdadhari
gata chalta wo kandhe par liye hal bhari
ajib sa lagta hai,rukhe mausham ke sath
uski ye diler se bhari huyi pyari dildaari
wo bharat mata ka spoot wo fawdadhari
bailon ke sath parshid hai jiski yaari
mann parshan ho jata hai uska
dekhkar lahlhate faslon ki hari bhari kyari
wo bharat mata ka spoot,wo fawdadhari
pta nhi shayad koi chuka bhi payega
sabon ke peton ko diya uska karz ye bhari
wo bharat mata ka spoot,wo fawdadhari
tang kapdon mein hi khush rahta hai,
wo gamchhadhari ,salam hai tujhe o fawdadhari