Tuesday, July 28, 2015

Chalti Chhawn

dhara pe ban rhi hai chalti parchayi
gagan mein dekho ghatta hai chhayi
taras rhi thi jiske liye bahut din se bhumi
wo jal akash mein hai abhi-abhi ayi

badalon ne pahadon pe hai rakha pawn
dharti pe ban rhi hai dekho "chalti chawn"
kahin na kahin to ye jarur hi barasegi
par pta nhi wo hai kaun sa gawn

nabh se barsa ki chhiten dhara pe hai chatakta
jab badal asmaan se samundar ka jal hai patkta
ped bhi khushi se hai apna har pta jhatkta
aur sharm ke mare garmi ka hai sar latkta