kadwi sachayi se door door
rangeen sapno ke pas jite hain
kabhi gum jo thoda hota hai
to ushe apni muskano mein shma lete hain
kadwi sachayi se door door
rangeen sapno ke pas jite hain
wo shayad hum se bahut door hain
fir bhi ankhon mein ash
aur honthon pe pyas aaj bhi nhi miten hain
kadwi sachayi se door door
rangeen sapno ke ash pas
dil mein liye kyi bat khash
yahin hai meri zindgi
aur hum esi tarah jite hain
dar lgta hai,koi lamha mere dil ka hall n byan kar de
isiliye muskan ki marham sath liye chalte hain
aur jab apni khushi kam pad jati hai
to dusron ki muskan ankhon se padhte hain
abhi ishk bina kya marna yara ,ishk bina kya jina yara radio pe baj rha hai
lekin fir yadon mein ek sapna sajj rha hai
kyonki hum kadwi sachayi se door door
aur rangeen sapno ke pas-pas jite hain
Kadwi sachayi se door door
sapno ke pas pas jite hain
mann mein thodi khushi kam palte hain
tabhi to hum apni hashi se apni udasi ko sambhalte hain